Monday, 29 August 2011
Corruption
Teri Is Duniya Me ,
Ye Manjar Kyo Hai,
Kahin Jakham To,
Kahin peeth me khanzar kyun hai?
sunna hai tu her zarre me rahta hai,
to fir zami par kahi masjid kahi mandir,
kyo hai?
jab rahne waale is diniya ke hai tere hi baande
to fir koi kisi ka dost to koi kisi ka dishman
kyo hai?
tu likhta hai sab logo ka mukaddar,
ek hi kalam se to fir koi badnaseeb or koi mukaddar ka sikandar kyo hai?
jab teri hai ye kath putiliya saari
to jaati paati ka baandhan kyo hai?
jab tu hi hai sab ka karta tharta
to fir kyu goore-kaalle rung hai bharta?
tu her rug me hai vaas kerta
to fir kisi ko ram to kisi ko ravan kyo kerta?
sunna hai baache hi hai tere saare
to fir kyo sab ka peat nahi bharta?
jab hum sab hai tere poojari
to fir kyo hai ye kartoos si bamaari?
jab aap hi ho guruver humare,
to fir kyo aate hai ye dhoongi babe?
jab tu hai is vishv ki jwala,
to fir kyo bhereshtachar sa jwala mukhi hai daalla?
JAB - JAB KYO - KYO
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment