Wednesday 24 April 2013

Bachpan

ek bachpan zamaana tha,
khushiyo ka khazana tha, chahat chaand ko paane ki thi,
dil titliyo ka deewana tha...
khabar na thi kuch subh ki na shaam ka thikana tha,
thak haar ker aana school se,per khelne bhi jaana tha.
dadi ki khani thi ,pariyo ka fasana tha...
barish me kaguz ki kashti thi,her masaum suhana tha.
her khel me saathi the,her rishta nibhana tha.
rone ki vajha na thi na ,na haasne ka bhana tha,
ab nahi rahi vo zindgi jaisa bachpan ka zamana tha....
 

No comments:

Post a Comment