Monday, 29 August 2011

Corruption


 Teri Is Duniya Me ,

Ye Manjar Kyo Hai,

Kahin Jakham To,

Kahin peeth me khanzar kyun hai?

sunna hai tu her zarre me rahta hai,

to fir zami par kahi masjid kahi mandir,

kyo hai?

jab rahne waale is diniya ke hai tere hi baande

to fir koi kisi ka dost to koi kisi ka dishman

kyo hai?

tu likhta hai sab logo ka mukaddar,

ek hi kalam se to fir koi badnaseeb or koi mukaddar ka sikandar kyo hai?

jab teri hai ye kath putiliya saari

to jaati paati ka baandhan kyo hai?

jab tu hi hai sab ka karta tharta

to fir kyu goore-kaalle rung hai bharta?

tu her rug me hai vaas kerta

to fir kisi ko ram to kisi ko ravan kyo kerta?

sunna hai baache hi hai tere saare

to fir kyo sab ka peat nahi bharta?

jab hum sab hai tere poojari

to fir kyo hai ye kartoos si bamaari?

jab aap hi ho guruver humare,

to fir kyo aate hai ye dhoongi babe?

jab tu hai is vishv ki jwala,

to fir kyo bhereshtachar sa jwala mukhi hai daalla?

JAB - JAB KYO - KYO

kerte reh jaege per in pershno ke utter tere bina prkat hue nahi mil paege...........

Friday, 26 August 2011

prem pater

Phir aaj koi gazal uske naam na ho jaye,
aaj kahi likhte-likhte shaam na ho jaye,
kar rha hun intjar uski izhar -e-mohbat ka,
is intezar me zindgi tamam na ho jaye,
nahi leta uska naam sare-aam is daarr se,
kahi naam uska badnam na ho jaye,
Mangta hun dua jab bhi wo  yaad aati h,
ki judai mere pyar ka anjaam na  ho jaye,
sochta hun,darta hu aksar tanhai me,
uske dil me kisi aur ka maqam na ho  jaye,
maine aaj bhi shama jala kar,baitha hu usi mod par,
ki unko aane me kahi shaam na ho jaye,
bs fir aaj koi gazal uske naam na ho jaye.......